Urdu SMS

Be a little different and try our Urdu SMS collections. You contacts will surely love it! You can chose from a wide range of Urdu SMS poetry, Funny Urdu SMS, Sad Urdu SMS, Urdu SMS ghazals, Sweet Urdu SMS, Urdu SMS jokes and so much more to enjoy the message ride.

Hasti ka aitbar

February 22nd, 2012     Urdu SMS

Hasti ka aitbar kiay baghair raha na jay…

Dunia hai yahan par jiye bin raha na jay…

Katti nhe yeh zindagi umeed kay baghair…

Yeh jaam wo hai jis ko piay bin raha na jay…

Chahat ka zakham dil ko tamasha na bana day…

Aisa hai chaak jis ko siye bin raha na jay…
Faisal03152540026

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 8.7/10 (3 votes cast)

Kash main terey haseen hath ka kangan hota

February 22nd, 2012     Urdu SMS

Kash main terey haseen hath ka kangan hota…

To baray pyar sey chao sey baray man kay sath…

Apni nazuk si kalai main charhati mujh ko…

Aur be-tabi sey furqat kay khiza lamho0n main…

To kisi soch main doby jo ghumati mujh ko…

Main terey hath ki khushbo0 sey mehak sa jata…

Jab kabhi mo0d main aakar mujhay cho0ma karti…

Terey ho0nto0n ki main hidat sey dehak sa jata…

Rat ko jab bhi to niend kay safar main jati…

Marmarin hath ka ek takiya banaya karti…

Main terey kan sey lag kar kai batain karta…

Teri zulfon ko terey gaal ko cho0ma karta…

Mujh ko be-taab sa rakhta hai teri chahat ka nasha…

Main teri ro0h kay gulshan main mehakta rehta…

Main terey jisam kay aangan main khanakta rehta…

Kuch nhe to yeh be-naam sa bandhan hota…

Kash main terey haseen hath ka kangan hota…
Faisal 03152540026

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 7.0/10 (2 votes cast)

Mohabbat ka gham

February 22nd, 2012     Urdu SMS

Mohabbat ka gham hota bohat hai…

Kay ab yeh lafz bhi ruswa bohat hai…

Udasi ka sabab main kia bataon…

Gali kochon main sanata bohat hai…

Na milnay ki qasam kha kay bhi main nay…

Tujhay har raah main dho0nda bohat hai…

Yeh ankhain aur kia dekhain kisi ko…

In ankho0n nay tujhay deakha bohat hai…

Na janay kyun bacha rakhay hain ansu…

Shayid mujhay rona bohat hai…

Tujhay malo0m to hoga merey hum dum…

Tujhay aik shakhs nay chaha bohat hai…
Faisal 03152540026

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 4.0/10 (1 vote cast)

Khali jaam liay betha hon

February 22nd, 2012     Urdu SMS

Khali jaam liay betha hon
aankho0n ki baat karo…

Raat bahot hai piyaas bohat hai
barsato0n ki baat karo…

Jo pee kar mast huay hain
us kay ziker sey kia hasil…

Jin tak jaam nhe poucha hai
un payaso0n ki baat karo…

Chup rehnay sey kat na sakegi
saadiyo0n lambi raat yahan…

Jin yaad0n sey dil roshan hai
un yaado0n ki baat karo…

Phir palko0n par jugnu chamkay
aankho0n main ghata sey lehrai…

Thandi hawa ka ziker karo
kuch bheegi ruton ki baat karo…
Faisal 03152540026

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 8.5/10 (2 votes cast)

Aatish-e-ishq

February 21st, 2012     Urdu SMS

Aatish-e-ishq sey senay ko jalaya kyun tha…

Tum nay ye ro0g jawani main lagaya kyun tha…

Kyun liay phirtay ho ab dunia main purnam aankhain…

Pyar acha tha magar dil main basaya kyun tha…

Jab bichar jana hi taqdeer main likh rakha tha…

Merey mola mujhay phir usey milaya kyun tha…
Faisal 03152540026

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 6.3/10 (3 votes cast)

Bus aik choti si han kar do

February 21st, 2012     Urdu SMS

Bus aik cho0ti si han kar do…

Hamaray naam is tarhan sara jahan kar do…

Wo mohabbatain jo tumharay dil main hain…

Un ko zuban par lao aur bayan kar do…

Aj bus ap kaho aur kehtay hi jao…

Hum bus sunain aise be-zuban kar do…

Hoi purani dastan heer ranjha ki…

Tarikh mohabbat ki phir sey jawan kar do…

Aa jaa kay aisa to0t kar chahun tumhain…

Apnay dil main is tarhan chupa lo mujh ko…

Raho0n is main hamesha kay liay…

Aisa mera koi makan kar do…
Faisal 03152540026

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 8.0/10 (2 votes cast)

Ghazal

February 21st, 2012     Urdu SMS

Nazar sey nazar tum milanay sey pehlay…

Zara soch lo dil laganay sey pehlay…

Zara us kay dil main bhi tum jhank lena…

Usey raaz dil ka batanay sey pehlay…

Main yeh janta ho0n meri zindagi main…

Koi gham na terey aanay sey pehlay…

Bohat roya ho ga wo apni khata par…

Saza mujh ko gham ki sunanay sey pehlay…

Khud ro0th jata hai yeh soch lena…

Kisi dil ko itna dukhanay sey pehlay…

Kahin jal na jao khud is aag main tum…

Kisi aur ka dil jalanay sey pehlay…
Faisal 03152540026

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 6.0/10 (2 votes cast)

Usey kehna

February 21st, 2012     Urdu SMS

Usey kehna…

Gilay un sey hi hotay hain jo dil kay pas hotay hain…

Shikayat un sey hi hoti hai jo be-had khaas hotay hain…

Mera tum sey gila karna tumhay yunhi rula dena…

Khafa karna…

Teri taa\’eed kay badlay jafa karna…

Mohabbat ki alamat hai…

Mohabbat main kabhi har giz isay dil par nhi lena…

Usey kehma mohabbat ki tawaqo0n sey hoti hai…

Kay jin sey aaas hoti hai…

Gilay un say hi hotay hain…

Jo dil kay pas hotay hain…
Faisal 03152540026

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 6.5/10 (2 votes cast)

roo pari

February 20th, 2012     Urdu SMS

Mili zindagi hi aisi kay zindagi bhi ro0 pari…

Teri talash main zalim saza bhi ro0 pari…

Tujhay toot kar chaha aur itna chaha…

Kay teri wafa ki khatir wafa bhi ro0 pari…

Mera naseeb meri qismat mera muqadar banay to0…

Tujhay hi mangtay mangtay dua bhi ro0 pari…

Kitab-e-dil main tera baab ab khatam kia…

Khatam kartay kartay aey zindagi kitab bhi ro0 pari…
Faisal 03152540026

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 6.0/10 (3 votes cast)

Main dil sey baatain karta tha

February 16th, 2012     Urdu SMS

Main dil sey baatain karta tha…

Dil mujh sey baatain karta tha…

Main us ki sunta rehta tha…

Wo meri sunta rehta tha…

Hum dono apni baatain kartay thay…

Aur ek doojay ki baaton par…

Hum dheerey sey hanstay rehtay thay…

Main dil ka dost hi acha tha…

Dil mera dost hi acha tha…

Wo merey dard ko sehta tha…

Main us kay dard ko sehta tha…

Phir dil nay aik chaal chali…

Wo tumhari raah par chal nikla…

Ab main bhe tanha rehta hon…

Aur dil bhi tanha rehta hai…
Faisal 03152540026

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 7.3/10 (13 votes cast)

Page 2 of 68812345...102030...Last »