yaadon k palkon par

February 3rd, 2012     Love SMS

yaadon k palkon par..
raaton ko jalnay do..
banhon k sahil par…
thora sa chalnay do…
meri dharkanon main …
gaye rut jagon main …
tumharay nishaan hain…
mitana nahi…!!!

saanson ka bandhan…
nigaahon ka saawan…
tujhe dhondta hai…
mera soona aangan…
tumhari sadayen…
havaon se lipti..
meri saans main ghuli hain…
meri dharkanon main…
gaye rut jagon main…
tumharay nishaan hain…
mitana nahi…!!

andharay safar main…
havaon k dar main…
teri aahton k..
diye jal rahay hain…
teri ik dastak…
abhi tak pari hai…
meray ghar ki chaukhat…
wahin par khari hain…
meri dharkanon main…
gaye rat jagon main…
tumharay nishaan hain…
mitana nahi..!!

yaadon ki…palkon par…
raaton ko…jalnay do…
baanhon k saahil par…
thora sa…chalnay do…
meri dharkanon main…
gaye rut jagon main…
tumhray nishaan hain…
mitana nahi…
irfan niz 03363721861

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 10.0/10 (2 votes cast)
yaadon k palkon par, 10.0 out of 10 based on 2 ratings
Be Sociable, Share!
Submitted by: irfan niz