Latest SMS Messages

Mohabbaton main jo gham mila hai

February 5th, 2012     Urdu SMS

Mohabbataon main jo gham mila hai yahi bohat hai…

Wo rotay rotay yeh keh raha hai yahi bohat hai…

Agar wo shakhs abb mera nhi raha to koi gham nhi…

Gaye dinoon main mera raha hai yahi bohat hai…

Koi zaroori nhi kisi ko main yaad aaon…

Koi mujhay bohat yaad aaraha hai yahi bohat hai…
Faisal 03152540026

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 9.2/10 (5 votes cast)

Ghazal

February 5th, 2012     Love SMS

Meri har ek ada main chupi thi us ki mohabbat…

Us nay mehsoos na kia yeh aur baat hai…

Main nay har dam us kay hi khawab deakhay…

Mujhay tabeer na milli yeh aur baat hai…

Main nay jab bhi us sey baat karna chahi…

Mujhay alfaaz na milay yeh aur baat hai…
Faisal 03152540026

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 7.5/10 (4 votes cast)

Main haqeeqat hon

February 5th, 2012     Urdu SMS

Main haqeeqat hon samajhtay hain wo afsana mujhay…

Khud jaltay hain bana kar apna parwana mujhay…

Gardash-e-dauraan sey keh do hosh ki baatain karay…

Gham kay toofano sey bhi aata hai takrana mujhay…

Un sey un ki bazam main itna hi keh kay uth gaya…

Raunaqein tum ko mubarak aur veeraniyan mujhay…

Janay kya admi tha na-aashna lagta tha wo…

Kar gaya saray shanasaaoun sey be-gaana mujhay…
Faisal 03152540026

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 10.0/10 (1 vote cast)

Jugnu koi sitaaron ki mehfil main kho gaya

February 5th, 2012     Urdu SMS

Jugnu koi sitaaron ki mehfil main kho gaya…

Itna na kar malaal jo hona tha wo ho gaya…

Parward-e-gaar to janta hai diloon ka haal…

Main ji na paoon ga jo usey kuch bhi ho gaya…

Ab us ko deakh kar nhi dharkay ga mera dil…

Kahan ka mujh ko yeh bhi sabaq yaad ho gaya…

Baadal utha tha sab ko rulaanay kay waastay…

Aanchal bhi kho gaya kahin daaman bhi khoo gaya…

Aik larki aik larkay kay kandhay par so gayi…

Main ujli dundi yaadon k kahray main kho gaya…
Faisal 03152540026

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 10.0/10 (1 vote cast)

janay do

February 5th, 2012     Urdu SMS

Apni aankhon kay samandar main utar janay do…

Tera mujrim hon mujhay doob kar mar janay do…

Aey meri chahat main samjhon ga tujhay bhi apna…

Pehlay maazi ka koi zakham bhar janay do…

Aag dunia ki lagai hui aik din bujh jay gi…

Koi aanso merey daman pay bikhar janay do…

Zakham kitnay teri chahat sey milay hain mujh ko…

Sochta hon kay kahon tujh sey magar janay do…
Faisal 03152540026

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 10.0/10 (1 vote cast)

Bicharnay aur judai main

February 4th, 2012     Urdu SMS

Bicharnay aur judai main
zara sa fark hota hai
Juda ho kar kisi se phir
kabi koi nahi milta

Bichar jain to milnay ka
koi imkaan rehta hay
Juda ho kar kisi ki yaad
dil main reh nahi sakti
bichar jain to dil main ik
diya jalta hi rehta hay

Juda ho kar kisi ka pyaar
dil main reh nahi sakta
bichar jain to dil main bus
usi ka pyar rehta hay

To phir aay hum sukhan meray
tu mera faisla sun lay
mujehn tum se bicharna hay
Juda tum se nahi hona …
Irfan niz 03363721861

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 10.0/10 (2 votes cast)

matlab nikal gia to pehchante nhi

February 4th, 2012     Urdu SMS

matlab nikal gia to pehchante nhi,
Yun Ja rahe hain Jese hmein Jante nhi,

apni Gharz thi tb to lipatna qabool tha,
bahon k dairon mei simatna qabool tha,

ab hm bula rahe hain to mantey nhi,
hm ne tmhein pasand kiya,, bura kiya,

rutba hi kuch buland kiya,, kya bura kiya,
hr ek gali ki khaak to hm chaante nhi,

matlab nikal gia to pehchante nhi…
irfan niz 03363721861

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 8.7/10 (3 votes cast)

Bohat koshish kare lakin

February 4th, 2012     Urdu SMS

Bohat koshish kare lakin
Musafir aa nahin sakta
Koi phir rok laita hai,
Usey wapis palatney se,
Faqat mur kar hi takney se,
Or us ka muntazir lamha,
Kai sadiyon, kai janmon se,
Us ka muntazir lamha,
Bil\’aakhir beet jata hai,
Muqaddar jeet jata hai…
irfan niz 03363721861

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 7.2/10 (5 votes cast)

Sach bhut mudat sy aisa hai

February 4th, 2012     Urdu SMS

Sach bhut mudat sy aisa hai,
k tum khamoosh rehty ho,
koe gehra hai gham shayed ,
jisy chup chaap sehty ho,
yunhi chalty hue tanha,
koe ghamgeen sa naghma,
tum aksar gun gunaty ho,
doran-e-ghuftagu yunhi,
milain nazron sy jab nazrain,
to batain bhool jaty ho,
kisi gum sum c halat main,
ya phir barish k mosam main,
faqat itna hi kehty ho,
udasi bewaja c hai,
bhut bojhal tabeat hai,
bhala sach kyun nae kehty,

TUMHAIN US SAY MOHABAT HAI…
Irfan niz 03363721861

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 9.0/10 (3 votes cast)

DIL-RUBA

February 4th, 2012     Love SMS

*** DIL-RUBA ***

Tujhay kia sunaon mein dil-ruba
Tere samny mera haal hy
Teri ek nigaaha ki bat hy
Meri zindagi ka sawal hy
Tery hu\’sn per hy meri nazar
Mujhay subho-shaam ki kia khabar
Meri shaam hy teri justuju
Meri subho tera khayal hy
Mery dil jigar main sama bhi ja
Rahy kyun nazar ka bhi faasla
K tery baghair to jan-e-jann
Mujhay zindagi bhi muhal hy
Meri her khushi tery dam sy hy
Meri zindagi tery gham sy hy
Tery dard sy rahy b-e-khabar
Mery dil ki kab ye majal hy…
IRFAN NIZ 03363721861

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 9.3/10 (3 votes cast)

Page 7 of 3,545« First...56789...203040...Last »