Urdu SMS

Be a little different and try our Urdu SMS collections. You contacts will surely love it! You can chose from a wide range of Urdu SMS poetry, Funny Urdu SMS, Sad Urdu SMS, Urdu SMS ghazals, Sweet Urdu SMS, Urdu SMS jokes and so much more to enjoy the message ride.

mosam

March 12th, 2012     Urdu SMS

Yeh mousam yeh mast nazarey
Piyar karo to in se karo
Kartey hain yeh tum ko isharey
… Pyaar karo to in se karo
Ethlati yeh shokh hawayeen
Bahti nadiya chanchal dhareen
Khilti kaliyan urtey badal
Sach mano yeh sab hain tumare
Jewanbhar k hain yeh saharey
Pyaar karo to in se karo
Kahti hain rangeen bahareen
Dil main pyaar k deep jala lo
Ban jao tum meet kisi k
Aur kisi ko apna bana lo
Phuloon main hain rang tumare
Pyaar karo to in se karo

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 6.1/10 (232 votes cast)

SirF AiK LarKi

March 2nd, 2012     Urdu SMS

SirF AiK LarKi….
Apnay Sard Kamray Main
Main Udaas Bethi Hoon
Neem-Wa-Dareechon Say
Num Hawaein Aati Hain
Merey Jism Ko Chhuu Kar
Aag See Lagati Hain
Tera Naam Ley Ley Kar
Mujhko Gudgudati Hain
Kaash Merey Parr Hotay
Terey Paass Urr Aati
Kaash Main Hawaa Hoti
Tujh Ko Chhuu Kay Laut Aaati
Main Nahi Magar Kuch Bhi…!!
Sung Dil Rawajon Kay
Aahni Hisaron Main
Umarr Qaid Ki Mulzim
Sirf Aik Larki Hoon…
irfan niz 03363721861

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 6.1/10 (41 votes cast)

Bay-hunar zamaanay may

March 2nd, 2012     Urdu SMS

Bay-hunar zamaanay may…

Raaeygaa’n safar apna…

Khauf k bayabaa’n may…

soojhhta kuch bhi nahee’n…

Bad-gumaani palti hay…

Saaeybaa’n hi jab apna…

Munharif ho chhaao’n say…

Justujoo parraao ki…

Bay-samar si lagti hay…

Bay hunar zamaanay may…

Raaeygaa’n safar apna…
irfan niz 03363721861

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 6.6/10 (14 votes cast)

Ik Din younhi baithay baithayIk Din younhi baithay baithayIk Din younhi baithay baithay

March 2nd, 2012     Urdu SMS

Ik Din younhi baithay baithay

Uss ne mujh se pooch liya tha

\”Tum ne KISI se Pyar kia hai\”

\”Ulfat ka Izhaar kia hai\”

Lekin main Khamoosh raha tha

Wo khud bhi shurmaii thi

thoora sa Ghabraii thi

MAIN ne soocha Barsoon pehlay,Jitnay Sapnay dekhay thay

Un sapnoon ko Tabeeron se Humahung kar denay ka

Aik yahi to Lamha hai……….

Lekin phir yeh soocha main ne

Janay is k DIL mein kya hoo???

Janay mujh ko samjhti kya ho??

Mujbooori thi Warna main ne

AIK USSI SE PYAR KIA HAI…
irfan niz 03363721861

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 5.8/10 (18 votes cast)

Suno Jana

March 2nd, 2012     Urdu SMS

Suno Jana
Judai Maut Hoti Hai!

kabhi fursat mile tu daikhna patton ka girna tum,
k jab yeh shajar se gir k zameen par aan partey hain tu kaise raunde jate hain.
thirthrati raat k khamosh lamhon mein,

kisi bebas akeli bawafa khamosh ladki ki kabi tum siskian sunna,
kabi qitaar se bichri hui koonjon k noohe par nigah karna,
k kaise aik dooje ki judai par tarap kar bain karte hain,
kabi rukhsat k lamhon mein kisi ki ankh se larkhartey huwey ansoo ko daikho gi,
tu shaid jaan jao gi,
judai maut hoti hai,

Abi tum ne muhabbat k baraste bheegte mausam nahi daikhe,
abi tum titliun k rang muthi main chupati ho,

abi tum muskarati ho
suno jana !
kabhi jo zindagi ne ajnabi veran rahon par,

tumhare yeh hansi cheene,
tu phir ansoo bahao gi,
tum itna jaan jao gi…
irfan niz 03363721861

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 6.6/10 (14 votes cast)

toot kar zara dekho

March 2nd, 2012     Urdu SMS

toot kar zara dekho,

tum agar bikhar jao,

bay basi may ghir jao,

dil say ik sada dena,

bus mujay bula lena,

may tumhe sumbha longa,

zindagi may chalnay ka,

rasta badalnay ka,

ik hunar sikha donga,

tumko hosla donga,

or jab,

sambhal jao,

roshni may dhal jao,

mujko yun sila dena,

tum mujay bhula dena…
irfan niz 03363721861

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 6.7/10 (11 votes cast)

Jise ehsaas kehte hain

March 2nd, 2012     Urdu SMS

Jise ehsaas kehte hain
wohi toh pyaar hota hai
tumhara dil jo dukhta hai
humein bhi dard hota hai
hamari aankh ka aansoo
tumhein bechain rakhta hai
hamare dard ka darmaa
tumhara lams hota hai
tumhare lams ka jaadu
humein bhi shaad rakhta hai
tumhein milti hain jab khushyaan
hamare lab bhi hanste hain
tumhein darpesh ho masla
dua ko haath uthte hain
khuda ko yaad karte hain
tumhein abaad rakhe woh
hmaesha shaad rakhe woh
hamaare saath rakhe woh…
irfan niz 03363721861

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 6.9/10 (14 votes cast)

Tumhein shayad ye lagta hai

March 2nd, 2012     Urdu SMS

Tumhein shayad ye lagta hai..
M0habbt khubsurat ha..
Tmhara ghar sanwary gi..
Tmhain yunhi naikharay gi..
Tmhain apna bana lay gi..
Tmhain shayd ye lgta ha..
Tmhein dukh se nikalay gi..
Tmhary dard smjhegi..
Tmhare gham sambhaly gi..
Mjhe maloom ha itna..
Mohabbat shab ki surat ha..
Ujalon ko ye kha lay gi..
Tmhe tm se chura le gi..
Tmhe pagal bna de gi..
Mohabbt maar deti ha..
Mohabbat maar dale gi…
irfan niz 03363721861

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 7.9/10 (10 votes cast)

Rukta bhi nhe hai

February 23rd, 2012     Urdu SMS

Rukhta bhi nhi theek sey chalta bhi nhi hai…

Ye dil kay terey baad sambhalta bhi nhi hai…

Yeh shehar kisi aina kirdaar badan par…

Ilzam lagate howay darta bhi nhi hai…

Ik umar sey hum is ki tamana main hain be-khawab…

Wo chand jo aangan main utarta bhi nhi hai…

Phir dil main teri yaad kay manzar hain firozaan…

Aisey main koi deakhnay wala bhi nhi hai…
Faisal 03152540026

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 6.9/10 (14 votes cast)

Chalo aik bar chalty hain

February 22nd, 2012     Urdu SMS

Kabhi bay simat rusto0n par chaltay hain…

Dikhai day koi manzil chalo aik bar chaltay hain…

Yahan thum sa gaya hai waqt howa kia hai khuda janay…

Jahan gardish main ho dunia chalo ik bar chaltay hain…

Youn hi daaman bechaye intizar-e-gham main kia rehna…

Kahain bay chain lamho0n main chalo aik sath chaltay hain…

Badal kar daikh letay hain hum apni zeest ka mousam…

Jahan mousam badaltay hon chalo aik bar chaltay hain…
Faisal 03152540026

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 6.9/10 (16 votes cast)

Page 1 of 68812345...102030...Last »