Urdu SMS

Be a little different and try our Urdu SMS collections. You contacts will surely love it! You can chose from a wide range of Urdu SMS poetry, Funny Urdu SMS, Sad Urdu SMS, Urdu SMS ghazals, Sweet Urdu SMS, Urdu SMS jokes and so much more to enjoy the message ride.

Tum yaad humain bhi kr lena

January 8th, 2012     Urdu SMS

Ho raat akeli pichlay paiher or
Chand gagan main aa jaye,

Tum chand ki manend tanha ho ye baat tumhay tarpa jaye

Kuch khuwab saja kr palkoun pay
Tum chand say batein kr laina,

Hum yaad tumhay to kartay hain
tumYaad humain bhi ker laina.

Kuch bat na ho jb aisay he
num ankh Tumhari ho jaye,
Tum bat kahi per karty ho,
dil or Kahi per kho jaye.
Jazbat k aisay alam main
Muskan laboun par bhar laina,

Hum yaad tumhe to krtay hain,
Tum yaad humain bhi kr lena… Irfan niz 03363721861

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 7.0/10 (3 votes cast)

Dukh kiya Hota Hai

January 8th, 2012     Urdu SMS

Tum Ne Poocha Hai ke Dukh kiya Hota Hai
To Suno…..
Aisa Karna
Kabhi kisi ko Chahna
aur Chahate Hi Rehna…
Din Bher uss ko Sochte hi Rehna….
Apne Haath ki Lakeeron mein uss ka Naam Tarashte hi Rehna…
aur Jab kabhi Wo,
in Riyazaton ka Hisaab Mangne ke Liey,
samne aaey to …….
Tum \”AROOS\” ka Hath Thaam Lena.
Ager Wo kuch kahey to,
Muskura ker Anjaan Ban Jana.
Aur Jab Wo Mayoos Ho ker Laut Jaey to…

Apne Ander Jhankna,
aur,
Khud se Poochna …..
Tab Tumhara Dil Tumhain Bataey ga,
Ke….
Dukh kisko kehtey Hain.
aur…
Dukh kiya Hota Hai…
irfan niz 03363721861

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 6.8/10 (5 votes cast)

Sojatay hain

January 5th, 2012     Urdu SMS

So jatay hain bed par copiyan aur notes bikhair kar….
Dost…
Students kabhi neind ki goli khaya nhe kartay….
Faisal
03152540026

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 6.1/10 (18 votes cast)

Rooh par Naqsh-e- LaZawal hai TU

November 15th, 2011     Urdu SMS

Rooh par Naqsh-e- LaZawal hai TU,

Ab khayalon mein ik khayal hai TU,

TERE jesa koi nh dekha,

TU hai Anmol Bemisal hai TU,

Mujh ko pagal bana diya TU ne,

Ishq ka kesa ye kamal hai TU,

TU Mohabbat hy Aarzo hy meri,

Meri is zindagi ki dhaal hai TU,

Sari duniya ko jeet loon jis se,

Paas mere ek aisi Chaal hai TU,

TERE dam se hi piyar zinda hai,

Mere maazi ki talash mera haal hai TU…
irfan niz 03363721861

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 7.8/10 (28 votes cast)

Laakh miltay hain hum bahanay say

November 13th, 2011     Urdu SMS

Laakh miltay hain hum bahanay say
Pyar chupta nahi chupanay say
Ummar guzari hay dar-badar apni
Hum hillay thay zara thikanay say

Aik jadu sa kar gaye mujh par
Kuch makaan thay puranay say

Baat karta raha main us say magar
Baat banti nahi bana’nay say

Ho jo mumkin to yeh bhi kar dekho
Tum nikalo humain fasanay say

Meri chahat main bhi woh baat na thi
Woh bhi rukhsat hua bahanay say

Yeh bhi rakha hay dhiyaan main hum nay
Teer palta agar nishanay say…!!!

irfan niz 03363721861

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 9.3/10 (9 votes cast)

Aye mere hamnasheen chal kaheen aur chal

November 13th, 2011     Urdu SMS

Aye mere hamnasheen chal kaheen aur chal,
is chaman mein ab apna guzara nahin.
baat hoti gulon tak to sehlete hum,
ab to kaaton pe bhi haq hamara nahin.

jab gulistan ko khoon ki zarorat padi
sab se pehle hamari hee gardan katee,
phir bhi kehte hain humse ye ahle chaman
ye hamara chaman hai tumhara nahin.

aaj aaye ho aur kal chale jaoge
yeh muhabbat ko meri gawara nahin,

umr bhar kaa sahara bano to bano
chaar din kaa sahara sahara nahin…
irfan niz 03363721861

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 8.9/10 (8 votes cast)

Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne

November 13th, 2011     Urdu SMS

Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne,
Khud bula ker phir sataya hai kisi ne,
Jab tak jali hai shama jalta raha parwana,
Kiya is tarhan saath nibhaya hai kisi ne
Armaan mere raiza raiza hogaye hain,
Yun kil k aangan say giraya hai kisi ne,
Aag lagi hai dasht main koi kiya bhujaye ga,
Dil is tarah say aaj jalaya hai kisi ne,

Dil rota hai raat bhar yaad kar k kisi ko,
Is tarhan ulfat main zakham khaya hai kisi ne,
Sangdil jo tha aaj woh bhi ro parha
Us ko bhi tarpaya hai kisi ne…

irfan niz 03363721861

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 6.5/10 (12 votes cast)

Meri aankhon me nami ka hi smaan rehta ha

October 30th, 2011     Urdu SMS

Meri aankhon me nami ka hi smaan rehta ha,
DiL me ik dard jo muddat sy jawaan rehta ha,
Wo jo kehta tha k bichrein gy to mar jaein gy,
Ab ye maloom nhi ha, wo kahan rehta ha,
Aik us ko meri chahat ki zroorat na rhi,
Warna mera to talbgar jahan rehta ha,
Wo samjhta ha k main bhool gaya hon us ko,
Khud sy bhi ziyada mujhy jis ka dehaan rehta ha,
Youn udasi mery sir pr ha musalsal,
Jesy dil py koi zakhmon ka nishan rehta ha.
irfan niz 03363721861

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 7.8/10 (16 votes cast)

ab jo rothy to

October 30th, 2011     Urdu SMS

Ab Jo Rothy to
Kbhi Manana nhi Ja ker,
Seh lein gy Dukh
Usy Sunana nhi Ja ker
Lout Aaye ga Zror
Agar Woh Mara Hua
Aaj sy Teh huwa
Khud Bulana nhi Ja kr
Usy Chaha hy
Usy Chahty rhein gy
Us k Dil mein hy Kya
Aazmana nhi Ja ker
Milay to Brsa dein gy
Hum Pyar Us py…
irfan niz 03363721861

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 8.3/10 (18 votes cast)

Ansu Hen Mery Sathi

October 30th, 2011     Urdu SMS

Ansu Hen Mery Sathi,
Kuch Khuwab Puranay Hen,
Kuch Paas Nahi Baaqi,
Teray Paas Chala Aaon!
Teri Neend Chura Laon,
Mere Dil Se NaJane Q,
Ye Khuwaish Nahi Jaati,
Din Rat Tumhen Dekhon,
0r
Pyaar Kiye Jaon!
Meri Aankhon Sy,
Mere Dil Se…
Teri Pyaas Nahi Jaati,
Ik Dujey Se Dono Ko,
Ye Kesi Adawat Hy,
Teri Yaad Jo Aa Jaye,
Phir!!
Neend Nhi Aati.
irfan niz 03363721861

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 5.9/10 (7 votes cast)

Page 7 of 688« First...56789...203040...Last »