kaha tha naa mujhey ik khawab rehney do

January 24th, 2012     Love SMS

kaha tha na…..

kaha tha naa……… mujhey ik khawab rehney do..?
bohot hi shoq tha tum ko
hamara dil dukhanay ka,
musalsal choot ki zad par
hamen taqseem karnay ka,
hamen mitti bana kar rait me
tajseem karnay ka…..
chalo khush ho gaye na ab…?

tumhen apna samajhnay ki
jo ghalti hum nay ki thi na,
bohot hai ab…..
bohot takleef di hai dunia walon nai
bohot hi choot khai hai zamany say…
magar hum bhi ajab thay na…….?
kisi k chain ki khatir,
sukoon apna luta baithay.
kisi ki khawahishon ko ehm hum ne
itna jana k,
ghuroor apna mita baithay..
bohot nadan thay na hum…..?

chalo acha hua khush fehmion ka
silsila toota,
thakan jo hai guzartay waqt k sang
dhal hi jayegi.
magar hum bhi ajab thay na…..?

k hum to waqt kay sang
toot jatay hain magar
tora nahi kartay…
k hum nay bad\’dua dena nahi seekha,
dua ye hai k tera samna na ho
kisi k sath bhi mujh sa bura na ho.
bohot masoom thay na hum….?

kaha tha na…?

mujhay ik khawab rehnay do…
irfan niz 03363721861

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 7.5/10 (11 votes cast)
kaha tha naa mujhey ik khawab rehney do, 7.5 out of 10 based on 11 ratings
Be Sociable, Share!
Submitted by: irfan niz