Wo gumaan gumaan sa qayas sa

January 31st, 2012     Urdu SMS

Wo gumaan gumaan sa qayas sa
kabhi door sa kabhi paas sa
kabhi chandni mein chupa hua
kabhi khusbuoon mein basa hua

kabhi sirf us ki shabahatain
kabhi sirf us ki hikayatain
kabhi sirf milnay k silsilay
kabhi sirf us say hi faslay

kabhi dor chalti hawaon mein
kabhi meenh barasti ghataon mein
kabhi bad guman kabhi mehrban
kabhi dhoop hy kabhi sayeban

kabhi band dil ki kitaab mein
kabhi lab kushan wo khwab mein
kabhi youn k jaisse sawaal ho
kabhi youn k jaisse khyaal ho

kabhi dekhnay k hein silsilay
kabhi sochne k hein marhalay
kabhi sirf rang e bahaar sa
kabhi sirf ik ghubaar sa

kabhi dastaras k kareeb kareeb
kabhi dor pass kahin nahin
ye jo ukhra ukhra sa shakhs hy
ye jo bikhra bikhra sa shakhs hy…
irfan niz 03363721861

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 8.2/10 (5 votes cast)
Wo gumaan gumaan sa qayas sa, 8.2 out of 10 based on 5 ratings
Be Sociable, Share!
Submitted by: irfan niz