Mera maqsad bithana tha

February 5th, 2012     Urdu SMS

Mera maqsad bithana tha
usey janay ki jaldi thei…
Mujhay dukh sunana tha
usey janay ki jaldi thei…
Nahi tha waqt pas uskay
kay wo sunta dastaan meri…
Bara lambaa fasana tha
usey janay ki jaldi thei…
Bari muddat ki khuwaish thei
magar piyaasa raha yaaron…
Galay us ko laagana tha
usey janay ki jaldi thei…
Nhi thehra wo aik lamha
jo raatain thehar jaata tha…
Taaluq to puraanaa tha
usey janay ki jaldi thei…
Main faniiii rokta kaise
kay ruknaa tha kahan us nay…
Usey har haal janaa tha
usey janay ki jaldi thei…
Faisal 03152540026
(Rahim yaar khan)

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 10.0/10 (1 vote cast)
Mera maqsad bithana tha, 10.0 out of 10 based on 1 rating
Be Sociable, Share!
Submitted by: Faisal