Raat sunti rahi main sunata raha

February 11th, 2012     Urdu SMS

Raat sunti rahi main sunata raha
dard ki dastan main btata raha

Log logon sy chahat nibhaty rahy
Ek wo tha mera dil jalata raha

Dhop chaoon C uski tabyat rahi
Wo nigahain milata churata raha

Dil k mehman-khany main ronak rahi
koi ata raha koi jata raha

Hum-maktab ny sara sabak parh liya
Main tera nam likhta mitata raha

Ek main hi piyasa mery dosto
Log pety rahy main pelata raha…
irfan niz 03363721861

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 7.7/10 (6 votes cast)
Raat sunti rahi main sunata raha, 7.7 out of 10 based on 6 ratings
Be Sociable, Share!
Submitted by: irfan niz