Latest SMS Messages

kaha tha naa mujhey ik khawab rehney do

January 24th, 2012     Love SMS

kaha tha na…..

kaha tha naa……… mujhey ik khawab rehney do..?
bohot hi shoq tha tum ko
hamara dil dukhanay ka,
musalsal choot ki zad par
hamen taqseem karnay ka,
hamen mitti bana kar rait me
tajseem karnay ka…..
chalo khush ho gaye na ab…?

tumhen apna samajhnay ki
jo ghalti hum nay ki thi na,
bohot hai ab…..
bohot takleef di hai dunia walon nai
bohot hi choot khai hai zamany say…
magar hum bhi ajab thay na…….?
kisi k chain ki khatir,
sukoon apna luta baithay.
kisi ki khawahishon ko ehm hum ne
itna jana k,
ghuroor apna mita baithay..
bohot nadan thay na hum…..?

chalo acha hua khush fehmion ka
silsila toota,
thakan jo hai guzartay waqt k sang
dhal hi jayegi.
magar hum bhi ajab thay na…..?

k hum to waqt kay sang
toot jatay hain magar
tora nahi kartay…
k hum nay bad\’dua dena nahi seekha,
dua ye hai k tera samna na ho
kisi k sath bhi mujh sa bura na ho.
bohot masoom thay na hum….?

kaha tha na…?

mujhay ik khawab rehnay do…
irfan niz 03363721861

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 7.5/10 (11 votes cast)

dard seene maiN utar jane do

January 24th, 2012     Urdu SMS

dard seene maiN utar jane do
zakhm ko aur ubhar jane do

mere toote hue dil per logo
jo guzarti hai guzar jane do

dastaaN kaun sune ga gham ki
shayeri ban ke bikher jane do

ek mahak pas se guzri he abhi
es ko saNsoN maiN utar jane do

phool kuch haiN khile angnaai meiN
in ko ashkooN se nikhar jane do

zindagi kese guzareN tum bin
apne haatoN ye saNwar jane do

yaad kerke tumheN roi Annu
ab to ashkooN ko teher jane do…
irfan niz 03363721861

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 7.0/10 (3 votes cast)

Terey har dukh ko

January 24th, 2012     Good Morning SMS

Terey har dukh ko apna bana lon…

Terey har gham ko dil sey laga lon…

Mujhay karna aati nhi chori warna…

Main teri aankhon sey aansu chura lon…
Faisal
03152540026

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 6.8/10 (61 votes cast)

Bey Basi Akhri Hadoon Par Hai

January 23rd, 2012     Urdu SMS

Bey Basi Akhri Hadoon Par Hai
Zindagi Akhri Hadoon Par Hai

Janay Ab Dil Ka Kia Banay Yaroon
Bey Kali Akhri Hadoon Par Hai

Sang Honay Main Koi Deer Nahi
Bey Hisi Akhri Hadoon Par Hai

Roshni Lotnay WAli Hai
Teragi Akhri Hadoon Par Hai

Iss Say Bar Kar Karay Kia Farhat
Maut Bhi Akhri Hadoon Par Hai…
irfan niz 03363721861

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 10.0/10 (2 votes cast)

Tum bin jena esa hai

January 23rd, 2012     Love SMS

Tum bin jena esa hai

Zehar ko pene jesa hai

Tum se bichar ke zinda rehna,

Hum se pucho kesa hai.

Mera tum ko takty rehna,

Chand ko takne jesa hai.

Tera hans ke batain karma,

Khilte pholon jesa hai.

Badal tere pyaar ka hamdam,

Aaj to khul ke barsa hai.

Chand ki nazrein jhuk jati hain

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 6.9/10 (8 votes cast)

Jisay tha samjha sahara zindagi ka

January 22nd, 2012     Love SMS

Jisay tha samjha sahara zindagi ka
tha woh ek khwab meri bay khudi ka

dard uska tha or tarap meray dil ki
hua hay yeh hissa aaj bay hissi ka

mat hanso halat-e-zar per meri
kuch tou andaza karo meri beybasi ka

kehtay thay keh mat dil laga
dekha hay tunay anjam dillagi ka…
irfan niz 03363721861

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 9.4/10 (5 votes cast)

Ham Nay Soch Rakha Hai

January 22nd, 2012     Love SMS

Ham Nay Soch Rakha Hai
Chahay Dil Ke Har Khowish
Zindagi Ke Aankhoon Say
Ashk Ban Kay Beh Jaye
Ghar Ke Sari Dewarain
Chatt Samait Gir Jaye
Or Be-Muqaddar Ham
Khud He Kyun Na Dab Jaye
Tum Say Kuch Nahi Kehna

Kese Neend Thi Apni
Kesay Khowab Thay Apnay
Or Ab Gulaboo Per
Neend Wali Aankhoon Per
Naram-Kho Say Khowaboo Per
Kyun Azaab Totay Hain
Tum Say Kuch Nahi Kehna

Ghir Gaye Hain Ratoon Main
Be-Lebaas Batoon Main
Is Tarah Ke Ratoon main
Kab Charag Jaltay Hain
Kab Azaab Taltay Hain
Ab Tu In Azaboo Say
Bach Keh Bhi Nikalnay Ka
Rasta Nahi Jana !
Jis Tarah Tum Ko Bhi
La-Zawaal Lamhoo Say
Wasta Nahi Jana !
Ham Nay Soch Rakha Hai
Tum Say Kuch Nahi Kehna !!!!!
irfan niz 03363721861

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 10.0/10 (4 votes cast)

Dard Nainon Mein Phailta Raha

January 22nd, 2012     Love SMS

Dard Nainon Mein Phailta Raha
Ye Aur Baat Ke
Barrey Zabt Say Main Jhailta Raha
Mohabbaton Say Darney Laga Tha
Khud Pay Sitam Karney Laga Tha
Raah-e-Faraar Dhoondhney Laga Tha
Par Jaaney Kaisey
Koi Barri Adaa Say
Kaanon Mein Ras Ghol Ke Kehney Laga
Tanha!!
Ye Mohabbaton Ka Nagar Aabad Rakhna
Bhoolna Na Kabhi Tum Issey
Yahan Sabhi Ko Tumhari Zaroorat Hai
Ye Mohabbatein
Ye Chahatein
Tumhein Kahin Say Na Milein Gi
Bhoolna Na Kabhi Tum Issey
Yahan Sabhi Ko Tumhari Zaroorat Hai
Sach Poocho To
Mujhey Bhi Tumhari Zaroorat Hai ..!!!!
irfan niz 03363721861

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 10.0/10 (2 votes cast)

Pathan

January 22nd, 2012     Funny SMS

Pathan:aaj hum nay paani ko ullu bana dia…
Friend:wo kaise…??
Pathan:o yara!
Subha hum nay pani garam kia
or
thanday pani sey naha lia….
Faisal 03152540026

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 7.2/10 (199 votes cast)

har muhabbat waafa nahi hoti

January 22nd, 2012     Urdu SMS

har muhabbat waafa nahi hoti
har waafa aada nahi hoti

kya tamana ki ab zaroorat hai
pori har dua nahi hoti

mil gaye har ghum per
dosti woh dawa nahi hoti

sab ke haton main diye lakin
roshni aye khuda nahi hoti

aasman yeh qayam hoga ab
qimat-e-zameen aada nahi hoti

dhondhte ho kya shahar main ab
har surat tu ashna nahi hoti…
irfan niz 03363721861

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 10.0/10 (2 votes cast)

Page 10 of 3,545« First...89101112...203040...Last »