Aankh barsi hai terey naam par

February 4th, 2012     Love SMS

Aankh barsi hai terey naam par sawan ki tarhan…

Jisam sulgha hai teri yaad main eendhan ki tarhan…

Loriyaan di hain kisi qurb ki khawaish nay mujhay…

Kuch jawani kay din bhi guzartay hain bachpan ki tarhan…

Is bulandi sey to nay mujhay nawaza kyun tha…

Gir kay main toot gaya kanch kay bartan ki tarhan…

Muntazir hai kisi makhoos ki aahat kay liay…

Zindagi bethi hai dehleez par barhan ki tarhan…

Mujh sey miltay huay yeh baat bhi sochi hoti…

Main terey dil main samaa sakta hoon dharkan ki tarhan…
Faisal 03152540026

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 2.5/10 (2 votes cast)
Aankh barsi hai terey naam par, 2.5 out of 10 based on 2 ratings
Be Sociable, Share!
Submitted by: Faisal